Welcome to MVS Blog
NIOS Practical Exam Scam Exposed – Students Forced to Pay for Marks
Introduction
National Institute of Open Schooling (NIOS) ek aisa platform hai jo उन छात्रों के लिए ek second chance deta hai jo regular schooling se किसी कारण से पढ़ाई पूरी नहीं कर पाए। लेकिन हाल ही में students ke experiences ने ek गंभीर सवाल उठा दिया है – क्या NIOS practical exams सिर्फ पैसों का खेल बन चुके हैं?
कई छात्रों ने अपने दर्द और गुस्से को सामने रखा है जहाँ unke मेहनत की फाइल, PCP classes और preparation को ignore करके sirf पैसे की demand की गई।
Students’ Real Experiences
यहाँ कुछ students ke direct बयान हैं, जो दिखाते हैं कि ground reality कितनी shocking है:
Regional Centre Complaint भी बेकार निकला:
“Sir, main regional centre gaya tha complain karne. Unhone bhi kuch action nahi liya. Sabko bas paise chahiye, kisi ko students ki mehnat se matlab nahi. Mujhe ₹2000 dene पड़े warna fail kar dete. India mein pata nahi kab justice milega.”
Practical Exam = ₹2000 Ticket:
“Mera practical 12 September ko tha (Early Childhood subject). Main PCP class bhi attend ki thi aur oral test bhi achha diya. Lekin exam centre wale bole: ‘₹2000 laao 16 ko, warna number nahi milenge.’”
File Ko Khol Kar Dekha Hi Nahi:
“Kya fayda file banane ka? Centre par file kholi bhi nahi gayi. Sirf bola: ₹1000 per subject do, warna marks nahi milenge. Saari mehnat zero ho gayi.”
₹4500 Demand for 3 Subjects:
“Mujhse ₹4500 maange gaye 3 subjects ke liye. Bola: paisa nahi doge to fail ho jaoge. File ke bas 2.5 marks denge. Jabki maine 10 experiments + viva + diagrams sab neat handwriting me kiye the. Viva bhi properly nahi liya.”
Why This is a Big Problem
Students’ Hard Work Ignored – File aur viva par mehnat karne ka koi value nahi.
Open Corruption – Direct paisa maang kar marks dene ki dhamki di ja rahi hai.
No Action from Regional Centres – Complaint karne par bhi koi solution nahi.
Trust Crisis – Agar marks paiso se decide honge to education ka matlab kya reh gaya?
What Should Students Do?
अगर आप bhi practical exam corruption face kar rahe ho, toh ye steps follow karo:
Evidence Collect Karo – Recording, photo, written proof jitna ho sake ikattha karo.
Official Complaint File Karo – Directly NIOS Headquarters (Delhi) ko likho, sirf regional centre pe depend mat raho.
Social Media पर Raise Karo – Twitter/X, Facebook, Instagram par apni story share karo aur @NIOSofficial, @EduMinOfIndia or Manish verma official channel par tag karo.
Awareness Spread Karo – Quora, blogs aur YouTube pe apne experiences share karo.
Final Words
Students bilkul sahi keh rahe hain:
“File kyun banayein? PCP class kyun join karein? Viva kyun prepare karein? Jab end me bas paise se hi marks decide hote hain…”
Ye ek serious scam hai jo NIOS ki credibility ko khatam kar raha hai. Agar authorities ne jaldi action nahi liya toh हजारों students का भरोसा टूट जाएगा।
Education ek sacred responsibility hai – aur isko paiso ka bazaar banana students ke future ke saath खिलवाड़ है।
Aap kya sochte ho? Kya aapne bhi apne NIOS practical exams me aisa kuch face kiya hai? Comments me apna experience share karo, taki aur students ko bhi awareness mile.
0 Response